Wednesday, December 20, 2006

Kaash

Kaash!!!!

Kaash ke in hasraton ke pankh na hote
aadat ho chuki hai aapke hone ki par
aapke jaane ke baad hum yu to na rote
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote.....

Dil ke tootne par aawaz to zaroor hoti
Lekin un aawazon mein hum khud ko na khote
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote.....

Har ek pal, jar lamha ek yaadgaar hai
par un lamho ke bojh ko humesha na dhote
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote.....

Unke aane se toh patjhad mein bhi baraste hai phool
par saath ke kaanton ko apne daaman mein na bote
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote.....

Tanhai mein bheed dekhi to ghum nahi
Lekin is bheed mein tanha kabhi na hote
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote......

Hasraton ne is mukam par la kar khada kiya lekin
Kam se kum rasston ko hi apni manzil na samajhte
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote......
Raat ne neende toh kab ki ud chuki hai
Kabr mein toh kam se kam chain se sote
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote......

Hansne aur rone ka fark bhoolne ka mann karta hai
Kya hua ki meri hasraton ke par hai
khushiyan toh nahi par unke ghumon mein toh humaare aansoon bhi hote
Kaash ke in hasraton ke pankh na hote........

Tuesday, December 19, 2006

Intezaar

Dhal gayi shaam intezaar yaar mein
Hota hai yehi aksar aitbaar mein

Woh phool jo kisi ke pyaar mein khile
Murjha gaye ussi ke intezaar mein

Duniya ki ronaqein yun hi simat gaayin
Bun ke wafa nigah-e-ashkbar mein

Saazish nahi kisi ki kismat ki bewafai
Dooba hua hai Jigar hai Inteshaar mein

Veeraniyo ke dere zameen-o-aasman per
Kahin koi khushi nahi ikhtiar mein

Dharkan mein Jaagti Jeeti Jawan umang
Qaid ho gaye hai kissi mazaar mein

Muskaan-e-Shub koi chandni thi shayad
Toota Sitara dekha deedar-e-yaar mein

Khusbo kharid lena sasti miley juo shaiki
Badalti hain roz keematein bazaar mein

Khuda Uska Tha ??

Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha,Kafila bhi uska tha..
Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyun akela hoon,Dil sawal karta hai,.
Log to uske the,Kya KHUDA bhi uska tha....?

Sunday, December 17, 2006

Dosti...

Khushi bhi doston se hai
Gam bhi doston se hai
Takraar bhi doston se hai
Pyar bhi doston se hai
Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai
Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai
Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai
Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai
Khvab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai
Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai
Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hai
Ya yoon kahoon yaro
Apni to duniya hi doston se hai.

Waqt Nahi

Har khushi hai logo ke Daaman me,
Par ek HASI ke liye waqt nahi.
Din raat daudti duniya me,
Jindagi ke liye he waqt nahi.
Maa ki lori ka ehesaas to hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
Sare rishton ko to hum maar chuke,
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.
Sare naam mobile me hain,
par dosti ke liye waqt nahi..
Gairon ki kya baat kahen,.
jab apano ke liye hee waqt nahi..
Ankhon me hai neend badee,
par sone ko waqt nahi.
Dil hai gamo se bharaa hua,
par rone ko bhi waqt nahee.
Paison ki daud me aise daude,
ki thakane ko bhi waqt nahi.
Paraye ehesaso ki kya kadar karen,
jab apane sapano ke liye hi waqt nahi.
Tu hi bata E Zindagi,is Zindagi ka kya hoga.
Ki har pal mar ne walon ko,
jeene ke liye bhi waqt nahi.....
..Ki har pal mar ne walon ko,
jeene ke liye bhi waqt nahi.

Monday, December 11, 2006

khaali Pal aur khaali Aankhein

Khaali sa aasmaan tha,
Khaali sa ek manzar,
Us khaalipan mein har pal bhi,
khaali sa ho raha tha.

Us manzar ke khaalipan ko
sametati meri aankhein mano
ek andha kuan sa tha.

Na koi awaaz thi,
Na koi hulchul,
aise mein to sannata bhi so raha tha.

Us sannate ne ,
us khamoshi ne,
us khaalipan ne,
naa jaaane kab;
meri aankhon mein panah paa li.

na koi kuch kehta,
na koi kuch maangta,
aankhein ..
aankhein to bas manzar ko nishabd ho kar taakti rehti.

fir who ek pal aaya,
jab ek aaina saamne aa gaya,
kuch andar kaid tha;
hubuhu mujh jaisa;
par naa jaane kyon bilakhne aur bikharne to taiyyar.

aankhein bas us ek parchaayi ko na sama paayi,
shayad jisne sabko sama liya;
khudi mein who doob rahi thi;
andhe kuye mein bhi naa jaane kaise; paani sa aa gaya.

jo kuch tha; behne laga,
khaalipan;
sannata ;
aur khamoshi sab koi ruksat karne laga .

par fir bhi aankhon mein
us parchaayin ke liye jagah kam pad gayi,
who panah nahi paa sak.

aankhein ab bhi aainey mein taak rahi hain,
sannnata , khamoshi aur khaalipan ne bhi
mujhe khaali kar daala;
jo kuch pal ke liye dost bane fir se akela chhod chale.

samajh nahi aata kaise khud ko poora karu,
yeh jahan aur yeh log,
yeh kayade kaanoon,
yeh rasmein ,kasmein, vaade,
yeh pyaar, dhoke , rishtey,
yeh paap aur punya,
yeh ishwar aur yeh insaaniyat;
sab to aazma liya fir bhi, mein poora kyun nahi hua???

par haan khatm hota lamha shayad mujhe samjh raha hai;
isiliye to intezaaar zaari hai poor hone ka !!

Wednesday, December 6, 2006

Tum Nahi Samjhi

Hamari dosti aur pyaar ke bhich ki patli lakir Kab mein par ki nahi pataUn nazdekiyo ka sabab batana chaha tha meine par...tum nahi samjhi

Sang Chata tha tumahare, saada ke liye Kyonkar kaise kehta tumse Tumahare liye apna pyaar jatana chaha tha meine par...tum nahi samjhi

kabhi jhankkar meri aankho mein dekha hota Saari dasta pad lete tum Beintehaa pyaar jhalakta tha tumhare liye inmein par...tum nahi samjhi

Badlo ko par kar, taaro ke chadar se jab chalkti chandni chuti mukhko
To lagta Bahon mein bhar liya tumne Mein tadpta raha tumahare liye par iss tadap ko...tum nahi samjhi


Apna kaam, Apne dost, Apne sapno mein khoyi rahi,Apni Masrufiyat se tumhe na waqt mila,Mere sapne, meri aarzoo, mere armano ko...tum nahi samjhi

Mere armano ko daphnakar tum kisi aur ki hui;Mere aasuo ko pochti tum,
mujhe samjhati rahi Un aasuo ka kaaran, apna pyaar khone ki tadap,Meri Adhuri kahani ko...tum nahi samjhe

Tuesday, December 5, 2006

Dost Hain Aapke

rishton ki gehrayi napna aasaan nahi,
rishtey to rishtey hai, unko nibhana aasaan nahi,
bahut sa khona aur thoda sa paana,
bahut sa dena aur thoda sa maangna,
bhaut sa rona aur thoda sa muskurana,
bahut se vaade aur fir unko nibahana,
ek aag ka dariyaa aur usme bhi doob ke jaana,
bahut mushkil hai rishtoy ko tootne se bachana!!
fir rishton mein bhi dosti ka rishta...
jaise toofaaan aur baarish ki andhiyaare mein
ek chiraag,
jaise mandir ke pathharon ki chhat pe khada
chotta sa peepal ka ped,
jaise tapte suraj mein rait mein behta
ek patla sa dariya,
ek marte huye insaan ki chand
aakhiri sannsein!!
bahut naazuk sa hai yeh rishta..
par jab aapne dost banaya hai to
aapke aansu hum nahi aane denge..
unse humari pehchaan nahi hone denge..
hum to aapke aise dost hain jo aapki
kushi ke liye lut jayenge..
ankh se aansu gire to aasmaan ko bhi rula denge :)))