Tuesday, December 19, 2006

Intezaar

Dhal gayi shaam intezaar yaar mein
Hota hai yehi aksar aitbaar mein

Woh phool jo kisi ke pyaar mein khile
Murjha gaye ussi ke intezaar mein

Duniya ki ronaqein yun hi simat gaayin
Bun ke wafa nigah-e-ashkbar mein

Saazish nahi kisi ki kismat ki bewafai
Dooba hua hai Jigar hai Inteshaar mein

Veeraniyo ke dere zameen-o-aasman per
Kahin koi khushi nahi ikhtiar mein

Dharkan mein Jaagti Jeeti Jawan umang
Qaid ho gaye hai kissi mazaar mein

Muskaan-e-Shub koi chandni thi shayad
Toota Sitara dekha deedar-e-yaar mein

Khusbo kharid lena sasti miley juo shaiki
Badalti hain roz keematein bazaar mein